Wednesday, October 19, 2011

Aaj Bhi..

Aaj bhi khwaab unke aate hain, toh aankh bhar aati hain

Woh pal, woh ehsaas dil ke itne kareeb hain

Hosh mein hum unhe yaad karne se katraate hain

Par behoshi mein gehri har ek jazbaat khilke nazar aati hain

Un khayaalon pe mera bas nahi chalta

Dil ke kisi ek kone mein dabi woh ehsaas khud ko jataake

Bas saanson mein unki haseen khushboo chhod gum ho jaati hain…

No comments: